hawa-e-tund ke aage dhuan Thaharta nahin
hamare sar pe kabhi aasman Thaharta nahin
hisab-e-dard karun bhi to is se kya hasil
nigah-e-shauq mein harf-e-ziyan Thaharta nahin
na raste ka unhen ilm hai na manzil ka
hazar gard uDe karwan Thaharta nahin
jahan pe sikka-e-zar ki khanak sunai na de
faqih-e-shahr ghaDi bhar wahan Thaharta nahin
qarib o dur ye afwah kaisi phail gai
kisi ke ghar mein koi mehman Thaharta nahin
hawa-e-sajda ne har aastan ko dekh liya
jabin-e-shauq pe koi nishan Thaharta nahin
hum apne aap ki pahchan kya karen 'nami'
yaqin panapta nahin hai guman Thaharta nahin

Ghazal
Hawa-e-tund ke aage dhuan Thaharta nahin
Nami Ansari