hawa-e-tez tera ek kaam aaKHiri hai
ki naKHl-e-KHushk pe mah-e-tamam aaKHiri hai
main jis sukun se baiTha hun is kinare par
sukun se lagta hai mera qayam aaKHiri hai
phir is ke baad ye bazar-e-dil nahin lagna
KHarid lijiye sahib ghulam aaKHiri hai
guzar chala hun kisi ko yaqin dilata hua
ki lauh-e-dil pe raqam hai jo nam aaKHiri hai
tabhi to peD ki aankhon mein chand bhar aaya
kisi ne kah diya hoga ki sham aaKHiri hai
ye lag raha hai mohabbat ke pahle zine par
ki jis maqam pe hun ye maqam aaKHiri hai
kisi ne phir se khaDe kar diye dar-o-diwar
KHayal tha ki mera inhidam aaKHiri hai
hamare jaise wahan kis shumar mein honge
ki jis qatar mein majnun ka nam aaKHiri hai
shuru-e-ishq mein aisi udasiyan 'tabish'
har ek sham ye lagta hai sham aaKHiri hai
Ghazal
Hawa-e-tez tera ek kaam aaKHiri hai
Abbas Tabish