hawa-e-taza mein phir jism o jaan basane ka
daricha kholen ki hai waqt us ke aane ka
asar hua nahin us par abhi zamane ka
ye KHwab-zad hai kirdar kis fasane ka
kabhi kabhi wo hamein be-sabab bhi milta hai
asar hua nahin us par abhi zamane ka
abhi main ek mahaz-e-digar pe uljhi hun
chuna hai waqt ye kya mujh ko aazmane ka
kuchh is tarah ka pur-asrar hai tera lahja
ki jaise raaz-kusha ho kisi KHazane ka
Ghazal
Hawa-e-taza mein phir jism o jaan basane ka
Parveen Shakir