hawa-e-subh-e-numu dushman-e-chaman kaise
shikar-e-rashk-o-raqabat gul-o-saman kaise
hisar-e-sham-o-sahar aur zabt-e-ahl-e-nafas
nizam-e-jabr mein bebas ye mard-o-zan kaise
na koi baat hui aur na koi dil hi dukha
bujhe bujhe se ye shuraka-e-anjuman kaise
na koi hath uTha aur na koi zer hua
to phir batao ki ye chaak pairahan kaise
khule to kis pe khule rang-e-eatibar-e-suKHan
ye sahiban-e-nazar bad-guman-e-fan kaise
Ghazal
Hawa-e-subh-e-numu dushman-e-chaman kaise
Yaqoob Rahi