hawa-e-shoKH ki aaKHir fusun kari ye kaisi hai
aziyyat de ke Tal jati hai dildari ye kaisi hai
baraste hain musalsal apne sar aafat ke patthar
bata ai dil balaon ki KHaridari ye kaisi hai
ugi hain dhup ki faslen kahin saya nahin milta
shajar-kari ka dawa tha shajar-kari ye kaisi hai
khaDi hai apne daman ko pasare ghair ke aage
mere maula pareshan aaj KHud-dari ye kaisi hai
kahin KHushiyon ki kaliyan hain kahin ashkon ke buTe hain
hayat-o-maut ke mabain gul-kari ye kaisi hai
darichon se shuaen jhankti hain muskuraati hain
KHabar to lo pas-e-diwar bedari ye kaisi hai
larazti hai faqat ek lafz ki halki si Thokar se
'wali' dal ke makan ki chaar-diwari ye kaisi hai
Ghazal
Hawa-e-shoKH ki aaKHir fusun kari ye kaisi hai
Vali Madni