اردو हिंदी
Hawa-e-shab se na bujhte hain aur na jalte hain | Shaahi Shayari
hawa-e-shab se na bujhte hain aur na jalte hain

Ghazal

Hawa-e-shab se na bujhte hain aur na jalte hain

Shakeb Jalali

;

hawa-e-shab se na bujhte hain aur na jalte hain
kisi ki yaad ke jugnu dhuan ugalte hain

shab-e-bahaar mein mahtab ke hasin sae
udas pa ke hamein aur bhi machalte hain

asir-e-dam-e-junun hain hamein rihai kahan
ye rang o bu ke qafas apne sath chalte hain

ye dil wo kargah-e-marg-o-zist hai ki jahan
sitare Dubte hain, aaftab Dhalte hain

KHud apni aag se shayad gudaz ho jaen
parai aag se kab sang-dil pighalte hain