اردو हिंदी
Hawa-e-mausam-e-gul se lahu lahu tum the | Shaahi Shayari
hawa-e-mausam-e-gul se lahu lahu tum the

Ghazal

Hawa-e-mausam-e-gul se lahu lahu tum the

Abbas Tabish

;

hawa-e-mausam-e-gul se lahu lahu tum the
khile the phul magar un mein surKH-ru tum the

zara si der ko mausam ka zikr aaya tha
phir us ke baad to mauzu-e-guftugu tum the

aur ab ki jab surat nahin talafi ki
main tum se kaise kahun meri aarzu tum the

kahaniyon mein to ye kaam azhdahe ka tha
meri jab aankh khuli mere chaar-su tum the