hawa-e-hijr mein jo kuchh tha ab ke KHak hua
ki pairahan to gaya tha badan bhi chaak hua
ab us se tark-e-talluq karun to mar jaun
badan se ruh ka is darja ishtirak hua
yahi ki sab ki kamanen hamin pe TuTi hain
chalo hisab-e-saf-e-dostan to pak hua
wo be-sabab yunhi ruTha hai lamha-bhar ke liye
ye saneha na sahi phir bhi karb-nak hua
usi ke qurb ne taqsim kar diya aaKHir
wo jis ka hijr mujhe wajh-e-inhimak hua
shadid war na dushman diler tha 'mohsin'
main apni be-KHabari se magar halak hua
Ghazal
Hawa-e-hijr mein jo kuchh tha ab ke KHak hua
Mohsin Naqvi