hawa-e-garmi-e-sud-o-ziyan se ruTh gae
zara si baat pe sare-jahan ruTh gae
wo ishq-e-gul tha ki gulchin ke hum adu Thahre
ye rashk-e-gul hai ki hum baghban se ruTh gae
jo be-dimagh teri rahguzar mein aa baiThe
makan to chiz hai kya la-makan se ruTh gae
jo tez-gam tha us ko sikhai rasm-e-suluk
jo sust-e-gam tha is karwan se ruTh gae
haram se guzre to shaiKH-e-haram se laD baiThe
mughan mein pahunche to pir-e-mughan se ruTh gae
wo sada-dil hain ki ghairon ko raazdan jaana
wo bad-guman hain har raaz-dan se ruTh gae
ye dekh kar ki gham-e-do-jahan hai rasm-e-jahan
jo ahl-e-gham the gham-e-do-jahan se ruTh gae
kahan hain ahl-e-bahaar aur kahan hai dawat-e-gul
ki be-nasib gul-o-gulsitan se ruTh gae
kahan hai pir-e-mughan aur kahan hai muzda-e-hosh
ki tishna-lab rah-o-rasm-e-mughan se ruTh gae
ye ehtiyat ne saqi ki dil ka haal kiya
ki rind garmi-e-bazm-e-jahan se ruTh gae

Ghazal
Hawa-e-garmi-e-sud-o-ziyan se ruTh gae
Khurshid-ul-islam