اردو हिंदी
Hawa-e-fasl-e-gul ke sath barq-e-shoala-bar aai | Shaahi Shayari
hawa-e-fasl-e-gul ke sath barq-e-shoala-bar aai

Ghazal

Hawa-e-fasl-e-gul ke sath barq-e-shoala-bar aai

Shola Kararvi

;

hawa-e-fasl-e-gul ke sath barq-e-'shoala'-bar aai
nasheman mein lagi hai aag gulshan mein bahaar aai

gulon par tazgi aai na baad-e-itr-e-bar aai
jahan-e-rang-o-bu mein nam ko fasl-e-bahaar aai

khila ghuncha na dil ka garche gulshan mein bahaar aai
hawa-e-mausam-e-gul bhi na us ko sazgar aai

gulon par aisi ghaflat thi na chaunke sahn-e-gulshan mein
jagane ke liye fariyaad-e-bulbul go hazar aai

sabab us ke siwa kuchh bhi nahin aansu bahane ka
ki shabnam be-sabaati-e-jahan pur-ashk-bar aai

sata kar shad hote hain ye fitrat hai hasinon ki
jo rone par mere un ko hansi be-iKHtiyar aai

faza-e-sahn-e-gulshan bhi na thi KHali kudurat se
nasim-e-subh bhi aaluda-e-gard-o-ghubar aai

nafas ki aamad-o-shud ka bharosa kuchh nahin 'shoala'
payam-e-maut le kar KHud hayat-e-mustaar aai