hawa-e-be-taraf-o-fasl-e-be-samar guzri
tere baghair guzarna hi kya magar guzri
sharik-e-shorish-e-duniya hun aur sochta hun
ki sham-e-bazm-e-tarab se bhi chashm-e-tar guzri
na thi pahaD se kuchh kam magar musibat-e-umr
tere KHayal mein guzri to muKHtasar guzri
koi bhi kaam na aaya shikasta-baali mein
saba bhi shaKH-e-nasheman ko kaT kar guzri
meri nigah ne KHwabon mein KHud ko pahchana
ki jagte mein jo guzri wo be-basar guzri
zamane-bhar se alag ho ke main udhar ko chala
jidhar jidhar se mere dil ki rahguzar guzri
Ghazal
Hawa-e-be-taraf-o-fasl-e-be-samar guzri
Khursheed Rizvi