اردو हिंदी
Hawa chaman ki bhala hum ko sazgar kahan | Shaahi Shayari
hawa chaman ki bhala hum ko sazgar kahan

Ghazal

Hawa chaman ki bhala hum ko sazgar kahan

Arsh Malsiyani

;

hawa chaman ki bhala hum ko sazgar kahan
bahaar nam ko hai asal mein bahaar kahan

jo tum nahin the to ek lutf-e-intizar to tha
tum aa gae ho to ab lutf-e-intizar kahan

chaman se dur bhi dekhi hai fasl-e-gul hum ne
magar wo silsila-e-naghma-e-bahaar kahan

numud-e-subh hui aur ujaD gai mahfil
mai-e-shabana kahan ab wo mai-gusar kahan

chaman ye shahr-e-nigaran bana to hai lekin
meri bahaar ko chhoD aai hai bahaar kahan

hui hain un se uchaTti si kuchh mulaqaten
magar ye kaif ba-andaza-e-KHumar kahan

na sina chaak hai koi na ab gareban chaak
gaya na jaane wo sarmaya-e-bahaar kahan

ba-faiz-e-azmat-e-syan mili hai ye tauqir
wagarna dar-KHur-e-rahmat gunahgar kahan

na wo sohbat-e-mazi na us ki yaad ai 'arsh'
jo karwan hi nahin hai to phir ghubar kahan