hawa chalti hai dam Thahra hua hai
faza mein kis ka gham Thahra hua hai
tasawwur mein ubharte KHal-o-KHad par
musawwir ka qalam Thahra hua hai
usi ko apni manzil kah raha hai
jahan jis ka qadam Thahra hua hai
samaat ke jaziron mein kahin par
tere lahje ka ram Thahra hua hai
zara Thahro ki chalti hai abhi sans
chale aao ki dam Thahra hua hai
mere KHwabon ke ruKHsaron pe ab tak
kisi bose ka nam Thahra hua hai
KHuda bhi hai usi kuche ka basi
jahan mera sanam Thahra hua hai
Ghazal
Hawa chalti hai dam Thahra hua hai
Sarfraz Zahid