اردو हिंदी
Hawa chalegi magar sitara nahin chalega | Shaahi Shayari
hawa chalegi magar sitara nahin chalega

Ghazal

Hawa chalegi magar sitara nahin chalega

Javaid Anwar

;

hawa chalegi magar sitara nahin chalega
samundaron mein tera ishaara nahin chalega

yahi rahenge ye dar ye galiyan yahi rahengi
tumhi chaloge koi nazara nahin chalega

shab-e-safar hai hatheliyon par bhanwar ugenge
tumhaare ham-rah ab kinara nahin chalega

suno ki ab hum gulab denge gulab lenge
mohabbaton mein koi KHasara nahin chalega

bahaar maqruz hai gharon aur maqbaron ki
gulon pe raston ka hi ijara nahin chalega