hawa chale waraq-e-arzu palaT jae
tulua ho koi chehra to dhund chhaT jae
yahi hai waqt ki KHwabon ke baadban kholo
kahin na phir se nadi aansuon ki ghaT jae
bulandiyon ki hawas hi zamin par lai
kaho falak se ki ab raste se haT jae
giraft Dhili karo waqt ko guzarne do
ki Dor phir na kahin saaton ki kaT jae
isi liye nahin sote hain hum ki duniya mein
shab-e-firaq ki saughat sab mein baT jae
Ghazal
Hawa chale waraq-e-arzu palaT jae
Shahryar