اردو हिंदी
Hawa bhi zor pe thi tez tha bahaw bhi | Shaahi Shayari
hawa bhi zor pe thi tez tha bahaw bhi

Ghazal

Hawa bhi zor pe thi tez tha bahaw bhi

Jaleel u0027Aaliu0027

;

hawa bhi zor pe thi tez tha bahaw bhi
laDi hai KHub magar kaghzi si naw bhi

abhi se hath chhuDate ho wapsi ke liye
jo chal paDe ho to phir sath sath aao bhi

jise jahan ki rawish dur le gai us ko
qarib la na sakin tum meri wafao bhi

bandha raha bahar-andaz halqa-e-yaran
hawa hai sard kahin dard ka alaw bhi

baja ki meri tabiat bhi la-ubaali thi
pa zud-ranj tha duniya tera subhaw bhi

ibaadaton ki sharaben bhi pi chuka lekin
sukun de na sake tum mere KHudao bhi