hawa bhi garm hai chhae hain surKH baadal kyun
ye zulm kis pe hua roi KHak-e-maqtal kyun
jo KHwab dekhti aai hun apne bachpan se
adhura KHwab wo hota nahin mukammal kyun
jo aarzu thi ki hon ird-gard gul-buTe
to tum ne nag-phani ke ugae jangal kyun
hum apne shauq ki duniya mein gum the kuchh aise
samajh na pae ki bhiga hai man ka aanchal kyun
sukut se bhi samundar ke KHauf aata hai
hain kyun KHamosh ye maujen nahin hai halchal kyun
main jab sukun ki manzil se chand gam pe hun
sadaen deta hai mazi mera musalsal kyun
wo kaun apna 'shifa' yaad aa gaya tum ko
tumhaari aankh hui ja rahi hai jal-thal kyun
Ghazal
Hawa bhi garm hai chhae hain surKH baadal kyun
Shifa Kajgavnwi