hawa bahut hai mata-e-safar sambhaal ke rakh
darida chadar-e-jaan hai magar sambhaal ke rakh
phir us ke baad to qadren inhin pe uTThengi
kuchh aur roz ye diwar-o-dar sambhaal ke rakh
abhi uDan ke sau imtihan baqi hain
in aandhiyon mein zara baal-o-par sambhaal ke rakh
ye ahd kanp raha hai zamin ke andar tak
tu apna hath bhi diwar par sambhaal ke rakh
paDhenge log inhin mein kahaniyan teri
kuchh aur roz ye daman-e-tar sambhaal ke rakh
hawa ke ek hi jhonke ki der hai 'qaisar'
kisi bhi taq pe sham-e-sahar sambhaal ke rakh
Ghazal
Hawa bahut hai mata-e-safar sambhaal ke rakh
Qaisar-ul-Jafri