hausle apne rahnuma to hue
hadse gham ka aasra to hue
be-wafa hi sahi zamane mein
hum kisi fan ki intiha to hue
wadi-e-gham ke hum khanDar hi sahi
aane walon ka rasta to hue
kuchh to maujen uThi samundar se
be-sabab hi sahi KHafa to hue
un ko apna hi gham sahi lekin
wo kisi gham mein mubtila to hue
KHud ko begana kar ke duniya se
chand chehron se aashna to hue
KHanda-e-gul hue ki shola-e-jaan
haal pe mere lab-kusha to hue
pattharon ke nagar mein ja ke 'nazar'
kam se kam sang-ashna to hue
Ghazal
Hausle apne rahnuma to hue
Jamil Nazar