اردو हिंदी
Hausla wajh-e-tapish-ha-e-dil-o-jaan na hua | Shaahi Shayari
hausla wajh-e-tapish-ha-e-dil-o-jaan na hua

Ghazal

Hausla wajh-e-tapish-ha-e-dil-o-jaan na hua

Sahir dehlavi

;

hausla wajh-e-tapish-ha-e-dil-o-jaan na hua
shola-e-shama teri bazm mein raqsan na hua

husn tha mast-e-azal jam-e-ana laila se
tan ki uryani se majnun koi uryan na hua

lab-e-mansur se di kis ne anal-haq ki sada
tu agar parda-e-pindar mein pinhan na hua

hum rahe chashm-e-inayat se hamesha mahrum
dil-nashin tir-e-nazar ka koi paikan na hua

chashm-e-jaanan mein samate hain samane wale
maut se aankh laDana koi aasan na hua

dil hai but-KHana-e-asnam-e-KHayali 'sahir'
tu wo kafir hai ki bhule se musalman na hua