اردو हिंदी
Hausla tu ne diya dukh ki pazirai ka | Shaahi Shayari
hausla tu ne diya dukh ki pazirai ka

Ghazal

Hausla tu ne diya dukh ki pazirai ka

Mohsin Ehsan

;

hausla tu ne diya dukh ki pazirai ka
mujh ko andaza na tha zaKHm ki gahrai ka

KHushbuen phul se ab izn safar mangti hain
is qadar qaht paDa shahr mein goyai ka

ab nigahon mein na manzar hai na pas-manzar hai
ek ilzam in aankhon pe hai binai ka

sar-e-dahliz pareshan-o-sarasima hun
dar muqaffal hua mujh par meri tanhai ka

silsile TuT chuke sare mohabbat ke magar
sur se ek rabt hai qaem abhi shahnai ka

is qadar jhuT racha hai rag-o-pai mein 'mohsin'
chehra ab masKH nazar aata hai sachchai ka