hausla shart-e-wafa kya karna 
band muTThi mein hawa kya karna 
jab koi sunta na ho bolna kya 
qabr mein shor bapa kya karna 
qahr hai lutf ki surat aabaad 
apni aankhon ko bhi wa kya karna 
dard Thahrega wafa ki manzil 
aks shishe se juda kya karna 
dil ke zindan mein hai aaram bahut 
wusat-e-dasht-numa kya karna 
sham-e-kushta ki tarah ji lije 
dam ghuTe bhi to gila kya karna 
mere pichhe mera saya hoga 
pichhe muD kar bhi bhala kya karna 
kuchh karo yun ki zamana dekhe 
shor galiyon mein sada kya karna
        Ghazal
Hausla shart-e-wafa kya karna
Kishwar Naheed

