hausla itna abhi yar nahin kar pae
KHud ko ruswa sar-e-bazar nahin kar pae
dil mein karte rahe duniya ke safar ka saman
ghar ki dahliz magar par nahin kar pae
hum kisi aur ke hone ki nafi kya karte
apne hone pe jab israr nahin kar pae
saat-e-wasl to qabu mein nahin thi lekin
hijr ki shab ka bhi didar nahin kar pae
ye to aaraish-e-mahfil ke liye tha warna
ilm o danish ka hum izhaar nahin kar pae
Ghazal
Hausla itna abhi yar nahin kar pae
Mahtab Haider Naqvi