hausla imtihan se nikla
jaan ka kaam jaan se nikla
dard-e-dil un ke kan tak pahuncha
baat ban kar zaban se nikla
bewafai mein wo zamin wala
hath bhar aasman se nikla
harf-e-matlab faqat kaha na gaya
warna sab kuchh zaban se nikla
kuchh ki kuchh kaun sunne wala tha
kuchh ka kuchh kyun zaban se nikla
ek sitam miT gaya to aur hua
aasman aasman se nikla
jis se bachta tha main dam-e-izhaar
wahi pahlu bayan se nikla
wo bhi arman kya jo ai 'muztar'
dil mein rah kar zaban se nikla
Ghazal
Hausla imtihan se nikla
Muztar Khairabadi