اردو हिंदी
Hausla de de ke uncha mera sar usne kiya | Shaahi Shayari
hausla de de ke uncha mera sar usne kiya

Ghazal

Hausla de de ke uncha mera sar usne kiya

Khalish Barodvi

;

hausla de de ke uncha mera sar us ne kiya
zulm ke aage mujhe sina-sipar us ne kiya

pyar se sab dushmanon ke dil mein ghar us ne kiya
dosti ka marka is tarah sar us ne kiya

jin ko pine ka saliqa tha na jine ka shuur
band un logon pe maiKHane ka dar us ne kiya

pahle to diwar uThai shahr ke chaaron taraf
phir usi diwar mein ek roz dar us ne kiya

pahle apna gham tha par us ka tha ab duniya ka hai
dhire dhire ek paude ko shajar us ne kiya

kaun si shai thi jo is dharti ke daman mein na thi
phir na jaane kyun KHalaon ka safar us ne kiya

jo 'KHalish' waqif na the sher-o-suKHan ke nam se
aam un logon pe 'ghaalib' ka hunar us ne kiya