اردو हिंदी
Hausla bhale na do uDan ka | Shaahi Shayari
hausla bhale na do uDan ka

Ghazal

Hausla bhale na do uDan ka

Irshad Khan ’Sikandar’

;

hausla bhale na do uDan ka
tazkira to chhoD do thakan ka

inT ugti dekh apne khet mein
ro paDa hai aaj dil kisan ka

kapDe aur roTiyan milin magar
masala abhi bhi hai makan ka

mujh mein koi hire hain jaDe hue
sab kamal hai tere bakhan ka

ek nadi ke do kinaron aisa hai
fasla hamare darmiyan ka

chahta hun main hi qissa-go banun
dard ki tawil dastan ka

shab hamara chand chhat pe aaya to
rang uD gaya tha aasman ka

main charagh se jala charagh hun
raushni hai pesha KHandan ka

kar gaya KHamosh mujh ko der tak
chiKHna wo ek be-zaban ka