chain pahlu mein use subh nahin sham nahin
ek dam bhi dil-e-bimar ko aaram nahin
ruKH par nur nahin zulf-e-siyah-fam nahin
wo zamana nahin wo subh nahin sham nahin
shahron shahron meri ruswai ka shohra pahuncha
mujh sa duniya mein koi aashiq-e-bad-nam nahin
chand hi taron ki jhurmuT mein zara dekh ai dil
gon mein shoKH-e-nasara ki ye bu-tam nahin
waizon jae jahannam mein faza-e-jannat
KHar hain gul meri nazron mein jo gulfam nahin
nale karta hun kabhi ya kabhi tadbir-e-visal
aur to hijr ki shab mein mujhe kuchh kaam nahin
fasl-e-gul aai to kya be-sar-o-saman hain hum
shisha-o-jam nahin saqi-e-gul-fam nahin
dil gaya din gaya jaan gai ulfat mein
aur aaghaz hi dekha abhi anjam nahin
bose do tin to le lene di mujh ko lillah
kaam ke waqt na kar o but KHud kaam nahin
laKHlaKHa ki ewaz us zulf ki bu sughunga
hai tap-e-ishq mein sauda mujhe sarsam nahin
naza mein dekh ke jita hun tere koThe ko
lab-e-isa hai ye ai jaan lab-e-baam nahin
'mehr' be-lutf hai bazm-e-shoara be-mashuq
bulbulen chahchahe mein hain koi gulfam nahin
Ghazal
Chain pahlu mein use subh nahin sham nahin
Hatim Ali Mehr