na diya bosa-e-lab kha ke qasam bhul gae
de ke aisi mujhe eajaz ka dam bhul gae
chashm-o-abru ko tere dekh ke aata hai KHayal
taq-e-kisra pe yahan saghar-e-jam bhul gae
ai shah-e-husn ye qalamen nahin aariz pe tere
katiban-e-KHat-e-ruKHsar qalam bhul gae
wo bhi kya din the ki aashiq the tumhaare hum bhi
ab to fariyaad-o-fughan dard-o-alam bhul gae
hae qismat ka likha aae to qasid ye kahe
KHat tumhaare liye wo kar ke raqam bhul gae
tera gulzar hai kis bagh ki muli bulbul
ku-e-jaanan mein to hum bagh-e-iram bhul gae
chashm-e-bad-dur wo aankhen hain tumhaari sahab
dekh kar chaukDi aahu-e-haram bhul gae
aap ka dost hai ye apni baghal ka dushman
yaad dilwae wahin dil ne jo hum bhul gae
zaiqa maut ka bas yaad dila deta hai
kya qayamat hai ye kahna tera hum bhul gae
mirza mahr-e-mohabbat tumhein phir yaad aai
dil pe guzri thi jo kuchh ranj-o-alam bhul gae
rah gaya yaad tumhein jaur-o-jafa zulm-o-sitam
lutf-o-altaf-o-inayat-o-karam bhul gae
kaba-e-dil mein bas ab rahti hai allah ki yaad
rasta dair ka hum shakl-e-sanam bhul gae
yaad rahti hai faqat hum ko tere kucha ki
waizon se suna haal-e-iram bhul gae
yaad rakhne ki ye baaten hain baja hai sach hai
aap bhule na hamein aap ko hum bhul gae
dil se dil ko hai agar rah to hai yaad se yaad
tum hamein bhul gae tum ko bhi hum bhul gae
bas hamare hi liye aap ko nisyan bhi hai
kabhi ghairon ko na sahab koi dam bhul gae
kucha-e-zulf mein ya halqa-e-gesu mein tere
yaad aata hai yahin dil kahin hum bhul gae
sher-e-hindi jo sune 'mehr' jigar tafta ke
apna andaz-e-fasihan-e-ajam bhul gae
Ghazal
Na diya bosa-e-lab kha ke qasam bhul gae
Hatim Ali Mehr