اردو हिंदी
HaTi zulf un ke chehre se magar aahista aahista | Shaahi Shayari
haTi zulf un ke chehre se magar aahista aahista

Ghazal

HaTi zulf un ke chehre se magar aahista aahista

Qamar Jalalvi

;

haTi zulf un ke chehre se magar aahista aahista
ayan suraj hua waqt-e-sahar aahista aahista

chaTak kar di sada ghunche ne shaKH-e-gul ki jumbish par
ye gulshan hai zara baad-e-sahar aahista aahista

qafas mein dekh kar bazu asir aapas mein kahte hain
bahaar-e-gul tak aa jaenge par aahista aahista

koi chhup jaega bimar-e-sham-e-hijr ka marna
pahunch jaegi un tak bhi KHabar aahista aahista

gham-e-tabdili-e-gulshan kahan tak phir ye gulshan hai
qafas bhi ho to ban jata hai ghar aahista aahista

hamare baghban ne kah diya gulchin ke shikwe par
nae ashjar bhi denge samar aahista aahista

ilahi kaun sa waqt aa gaya bimar-e-furqat par
ki uTh kar chal diye sab chaara-gar aahista aahista

na jaane kyun na aaya warna ab tak kab ka aa jata
agar chalta wahan se nama-bar aahista aahista

KHafa bhi hain irada bhi hai shayad baat karne ka
wo chal nikle hain mujh ko dekh kar aahista aahista

jawani aa gai dil chhedne ki baDh gain mashqen
chalana aa gaya tir-e-nazar aahista aahista

jise ab dekh kar ek jaan paDti hai mohabbat mein
yahi ban jaegi qatil nazar aahista aahista

abhi tak yaad hai kal ki shab-e-gham aur tanhai
phir is par chand ka Dhalna 'qamar' aahista aahista