haTe ye aaina mahfil se aur tu aae
koi to ho jo kabhi dil ke ru-ba-ru aae
mere lahu se agar ho ke surKH-ru aae
malo to barg-e-hina mein wafa ki bu aae
wo aansuon ki safai se bad-guman hain abas
dil-o-jigar mein raha kya hai jo lahu aae
shab-e-visal bhi ta-subh mutmain na raha
abhi thi raat ki paigham-e-arzu aae
bayan-e-barq-e-tajalli chhuDa hai ab sar-e-tur
ajab nahin mere dil ki bhi guftugu aae
visal-o-hijr mein chhupta hai dil ka haal kahin
bujhe to pyas siwa ho jale to bu aae
jo mai ke dene mein pir-e-mughan ko tha inkar
dilon ko toDne kyun shisha-o-subu aae
ajab hai utre dam-e-zabh un ki aankh mein KHun
kaTin kahan ki ragen aur kahan lahu aae
kiya sawal to us dar se ye sada aai
use jawab hai jo le ke aarzu aae
jahan mein hain subuk-bar kab shagufta-mizaj
chaman ke phul liye bar-e-rang-o-bu aae
meri zaban ko kanTa samajhta hai sayyaad
nikal le ki na ye ho na guftugu aae
jhaTak rahi hai mera KHun apne daman se
tumhaari tegh hai phir kya wafa ki bu aae
madad de itni taDapne mein inqilab-e-jahan
jo mere dil mein nihan hai wo ru-ba-ru aae
baDha baDha ke mera dil lagaiye talwar
jagah jafa ki siwa ho agar numu aae
Ghazal
HaTe ye aaina mahfil se aur tu aae
Saqib Lakhnavi