haTa do chehre se gar dupaTTa tum apne ai lala-fam aadha
to ho ye sabit ki nikla abr-e-siyah se mah-e-tamam aadha
hua to hai tere hijr mein dil hamara jal kar kabab saqi
kasar agar hai to itni hi hai ki puKHta aadha hai KHam aadha
yahan to dil ko mere jalaya wahan jalaenge jism mera
ye hashr par kyun uTha rakha hai huzur ne intiqam aadha
hamari ulfat ka zikr sun kar adu nikale bhi shiq to kyun-kar
ki lafz-e-shiq mein bhi to ye shiq hai ki hai ye aashiq ka nam aadha
ye charke de de ke tu ne mujh ko jo nim-jaan kar rakha hai nahaq
halal kar Dal ab to zalim hua hai jina haram aadha
ye kaisi dariya-dili hai saqi hawas bhi dil ki hui na puri
jo ki inayat bhi to adhuri agar diya bhi to jam aadha
nazar jo paD jae us ke qamat pe bas qayamat hi aae 'anjum'
zamin mein gaD jae sarw KHajlat se us ki waqt-e-KHiram aadha
Ghazal
HaTa do chehre se gar dupaTTa tum apne ai lala-fam aadha
Mirza Asman Jah Anjum