hasti koi aisi bhi hai insan ke siwa aur
mazhab ka KHuda aur hai matlab ka KHuda aur
phir Thahar gaya qafila-e-dard suna hai
shayad koi raste mein meri tarah gira aur
ek jurra-e-aKHir ki kami rah gai aaKHir
jitni wo pilate gae aankhon ne kaha aur
mimbar se bahut fasl hai maidan-e-amal ka
taqrir ke mard aur hain mardan-e-wigha aur
allah gila kar ke main pachtaya hun kya kya
jab KHatm hui baat kahin us ne kaha aur
kya zer-e-lab dost hai izhaar-e-jasarat
haq ho ki wo nahaq ho zara lai to baDha aur
daulat ka to pahle hi gunahgar tha munim
daulat ki mohabbat ne gunahgar kiya aur
ye wahm sa hota hai mujhe dekh ke un ko
sirat ka KHuda aur hai surat ka KHuda aur

Ghazal
Hasti koi aisi bhi hai insan ke siwa aur
Najm Aafandi