اردو हिंदी
Hasti ko meri masti-e-paimana bana de | Shaahi Shayari
hasti ko meri masti-e-paimana bana de

Ghazal

Hasti ko meri masti-e-paimana bana de

Seemab Akbarabadi

;

hasti ko meri masti-e-paimana bana de
ai be-KHabari hasil-e-mai-KHana bana de

talib hun main us ek nigah-e-do-asar ka
jo hosh mein la kar mujhe diwana bana de

ai barhaman ek din but-e-pindar ko apne
toD aur charagh-e-dar-e-but-KHana bana de

kah do ki bahaar aae to be-kar na baiThe
diwana bane ya mujhe diwana bana de

diwangi-e-ishq baDi chiz hai 'simab'
ye us ka karam hai jise diwana bana de