hasti ko jamal de raha hun
main teri misal de raha hun
mani pe chaDha ke ghaza-e-nau
lafzon ko KHayal de raha hun
mazi pe nigah hai apni gahri
farda ko main haal de raha hun
mushkil bhi hai aur sahal bhi hai
aisa main sawal de raha hun
shishagari hai ajib meri
aaine ko baal de raha hun
mahaul mein hai kuchh aisi KHunki
jazbaat ko shaal de raha hun
kyun aariz-e-waqt ab na nikhre
fan ka hasin KHal de raha hun
imroz ke jitne hain masail
farda hi pe Tal de raha hun
phans kar yun shikanje mein gunah ke
makDi ko main jal de raha hun
gumrah zamana hai to kya gham?
sham-e-mah-o-sal de raha hun
dil TuT gaya to kya 'karamat'
paigham-e-visal de raha hun
Ghazal
Hasti ko jamal de raha hun
Karamat Ali Karamat