hasti ki qaid se ai dil aazad hoiye
sahra mein ja ke KHub sa hans hans ke roiye
donon jahan ka shadi o gham dil se bhul kar
panw daraaz kar ke faraghat se soiye
ai chashm az-barae-KHuda gar madad kare
aamal-nama apna to ro ro ke dhoiye
'hatim' kisi se apni musibat ko tu na kah
kya faeda jo apna bharam muft khoiye
Ghazal
Hasti ki qaid se ai dil aazad hoiye
Shaikh Zahuruddin Hatim

