hasti hai judai se us ki jab wasl hua to kuchh bhi nahin
dariya mein na tha to qatra tha dariya mein mila to kuchh bhi nahin
ek shama jali to mahfil mein har samt ujala phail gaya
qanun yahi hai fitrat ka parwana jala to kuchh bhi nahin
sailab mein tinke raqsan the maujon se safine larzan the
ek dariya tha sau tufan the dariya na raha to kuchh bhi nahin
asliyat thi ya dhoka tha ek fitna-e-rangin barpa tha
sau jalwe the ek parda tha parda na raha to kuchh bhi nahin
tufan bhi tha aandhi bhi thi baran bhi tha bijli bhi thi
aai jo ghaTa to sab kuchh tha barsi jo ghaTa to kuchh bhi nahin
phulon se chaman aabaad bhi the dam apna liye sayyaad bhi the
sab kuchh tha 'jamil' is gulshan mein badli jo hawa to kuchh bhi nahin
Ghazal
Hasti hai judai se uski jab wasl hua to kuchh bhi nahin
Jameel Mazhari