hasti hai adam meri nazar mein
sujhi hai ye ek umr bhar mein
o aankh chura ke jaane wale
hum bhi the kabhi teri nazar mein
phailati hai panw hasrat-e-did
ThanDak jo mili hai chashm-e-tar mein
koi na hijab kaam aaya
dekha to wo the meri nazar mein
kam-zarf the sare ghuncha o gul
kya phule hain ek musht-e-zar mein
itna bhi na ho koi haya-dar
dekha to sama gae nazar mein
tare ye nahin hain aaKHir-e-shab
kuchh phul hain daman-e-sahar mein
hai umr-e-rawan ka shama mein rang
ghar baiThe guzarti hai safar mein
duniya hai 'jalil' hath uThae
baiThe hain kisi ki rahguzar mein
Ghazal
Hasti hai adam meri nazar mein
Jaleel Manikpuri