hasraton mein ab ye ek hasrat hamare dil mein hai
itna kah dije ki be-chaara baDi mushkil mein hai
ek musa the ki in ka zikr har mahfil mein hai
aur ek main hun ki ab tak mere dil ki dil mein hai
aaj kyun had se siwa uljhan hamare dil mein hai
kya nasib-e-dushmanan wo bhi kisi mushkil mein hai
hai koi aisa jo saqi se kahe mere liye
ye bhi ek allah ka banda teri mahfil mein hai
ya ilahi KHair yun hamdardiyan hoti hain aaj
jaise mere dil ka sara dard unhin ke dil mein hai
dekhna ye hai un aankhon mein sama jata hai kaun
yun to hone ko zamana bhar teri mahfil mein hai
dekhiye kis ke muqaddar mein likhi hai ye bahaar
aaj to ek haar phulon ka kaf-e-qatil mein hai
dekhiye to apne wahshi ki tasawwur mein KHushi
ghar mein tanha hai magar jaise bhari mahfil mein hai
hai mohabbat koi bimari to bimari qubul
hae 'manzar' kis maze ka dard apne dil mein hai
Ghazal
Hasraton mein ab ye ek hasrat hamare dil mein hai
Manzar Lakhnavi