hasrato ab phir wahi taqrib hona chahiye
phir kisi din baiTh kar fursat se rona chahiye
jagte rahiye kahan tak uljhanon ke nam par
waqt hath aae to gahri nind sona chahiye
kya KHabar kab qaid-e-baam-o-dar se ukta jae dil
bastiyon ke darmiyan sahra bhi hona chahiye
gum-rahi jin raston par mujh ko bahlati rahi
mujh se ab wo raste mansub hona chahiye
jaane kya soche zamana un ke ashkon par 'shamim'
han na tum ko tanz ke nashtar chubhona chahiye
Ghazal
Hasrato ab phir wahi taqrib hona chahiye
Mubarak Shamim