hasraten ban kar nigahon se baras jaenge hum
ek din aaega jab un ko bhi yaad aaenge hum
chandni ban kar kabhi daman pe lahraenge hum
ban ke aansu gah palkon par Thahar jaenge hum
sham ko jam-e-masarrat bhar ke chalkaenge hum
subh ko daur-e-charagh-e-bazm ban jaenge hum
phir kahan paenge hum ko nau-urusan-e-chaman
jab faza-e-rang-o-bu mein jazb ho jaenge hum
TuT jaega ghurur-e-bahr-e-na-paida-kanar
is tarah biphri hui maujon se Takraenge hum
jab zamana KHud hi dhoka ban gaya 'shaukat' to phir
kaun jaane kis qadar dhoke abhi khaenge hum
Ghazal
Hasraten ban kar nigahon se baras jaenge hum
Shaukat Pardesi