hasraten aa aa ke jama ho rahi hain dil ke pas
karwan goya pahunchne wala hai manzil ke pas
bich mein jab tak thin maujen un mein shorish thi bahut
intishaar un mein hua jab aa gain sahil ke pas
nazr-e-qatil jaan jab kar di to baqi kya raha
ab taDapne ke alawa hai hi kya bismil ke pas
gharq kar den meri kashti phir ye maujen dekhna
hashr tak paTka karengi apna sar sahil ke pas
bhik dena to kuja kasa bhi us ne le liya
main ab ek hasrat-zada hun kya hai mujh sail ke pas
ek hum hain hum ne kashti Dal di gardab mein
ek tum ho Darte ho aate hue sahil ke pas
KHair ho 'ajiz' kahin aisa na ho dil Dub jae
ishq ke dariya mein halchal ho rahi hai dil ke pas
Ghazal
Hasraten aa aa ke jama ho rahi hain dil ke pas
Ajiz Matvi