hasrat-e-zohra-washan sarw-qadan hai ki jo thi
apna sarmaya-e-dil yaad-e-butan hai ki jo thi
kaj-kulahon se bhi sharminda na hone pae
hum mein wo jurat-e-izhaar-e-bayan hai ki jo thi
waza-dari mein koi farq na aaya sar-e-mu
wahi aawargi-e-ku-e-butan hai ki jo thi
main ne sarmaya-e-dil nazr-e-butan kar Dala
mere naseh ko magar fikr-e-ziyan hai ki jo thi
meri aashufta-mizaji meri shorida-sari
ab bhi maqbul-e-hasinan-e-jahan hai ki jo thi
'shauq' taqdir ne karwaT bhi na badli ab tak
zindagi ab bhi wahi sang-e-garan hai ki jo thi
Ghazal
Hasrat-e-zohra-washan sarw-qadan hai ki jo thi
Shauq Mahri