اردو हिंदी
Hasrat-e-jalwa-e-didar liye phirti hai | Shaahi Shayari
hasrat-e-jalwa-e-didar liye phirti hai

Ghazal

Hasrat-e-jalwa-e-didar liye phirti hai

Haidar Ali Aatish

;

hasrat-e-jalwa-e-didar liye phirti hai
pesh-e-rozan pas-e-diwar liye phirti hai

is mashaqqat se use KHak na hoga hasil
jaan abas jism ki be-kar liye phirti hai

dekhne deti nahin us ko mujhe be-hoshi
sath kya apne ye diwar liye phirti hai

kisi fasiq ke tu munh ko na karegi kala
kyun siyahi ye shab-e-tar liye phirti hai

tu nikalta nahin shamshir-ba-kaf ai qatil
maut mere liye talwar liye phirti hai

mal-e-muflis mujhe samjha hai junun ne shayad
wahshat-e-dil sar-e-bazar liye phirti hai

kaba o dair mein wo KHana-barandaz kahan
gardish-e-kafir-o-din-dar liye phirti hai

ranj likkha hai nasibon mein mere rahat se
KHwab mein bhi hawas-e-yar liye phirti hai

chaal mein is ki sarapa hai kisi ki taqlid
kabk ko yar ki raftar liye phirti hai

dar-e-yar aae Thikane lage miTTi meri
dosh par apne saba bar liye phirti hai

hanste hain dekh ke majnun ko gul-e-sahrai
pa-barahna talab-e-KHar liye phirti hai

saya sa husn ke ham-rah hai ishq-e-bebak
sath ye jins-e-KHaridar liye phirti hai

kisi surat se nahin jaan ko farar ai 'atish'
tapish-e-dil mujhe lachaar liye phirti hai