hasrat-e-faisla-e-dard-e-jigar baqi hai
aur abhi silsila-e-sham-o-sahar baqi hai
aaiye aur nazar se bhi zamana dekhen
zindagi hai to mohabbat ki nazar baqi hai
ya meri subh mein raunaq nahin hangamon ki
ya meri sham ba-unwan-e-sahar baqi hai
naujawani gai anfas ki KHushbu na gai
phul murjhae magar baad-e-sahar baqi hai
kuch hi kuch hai har rang mein duniya ki hayat
ek safar KHatm hua ek safar baqi hai
yaad-gar-e-harm-o-dair hai TuTa hua dil
shahr viran hua ek ye ghar baqi hai
husn dilkash hai jahan tak hai tabassum ka sabaat
ishq zinda hai agar dida-e-tar baqi hai
be-mai-o-rang hai kashana-e-tahzib-e-jadid
kuchh pas-e-parda nahin parda-e-dar baqi hai
zindagi kya hai abhi tajraba karna hai 'nushur'
shairi kya hai abhi naqd o nazar baqi hai
Ghazal
Hasrat-e-faisla-e-dard-e-jigar baqi hai
Nushur Wahidi