hasrat-e-dil ko mar kar dekha
bojh sara utar kar dekha
waqt mumkin kahan guzare to
jaise main ne guzar kar dekha
koi meri madad ko aaya nahin
main ne sab ko pukar kar dekha
dagh chehre pe raqs karte rahe
aaine ko sanwar kar dekha
wasl tabir ho nahin sakta
hijr ka KHwab mar kar dekha
teri KHatir nahin jo karna tha
dekh le wo bhi yar kar dekha
waqt mumkin kahan guzare to
jaise main ne guzar kar dekha
tishnagi kam na ho saki 'kausar'
ek dariya ko par kar dekha
Ghazal
Hasrat-e-dil ko mar kar dekha
Sayeda Kausar Manawwar Shaikhpuri