hasrat-e-did mein guzaran hain zamane kab se
dasht-e-ummid mein gardan hain diwane kab se
der se aankh pe utra nahin ashkon ka azab
apne zimme hai tera qarz na jaane kab se
kis tarah pak ho be-arzu lamhon ka hisab
dard aaya nahin darbar sajaane kab se
sar karo saz ki chheDen koi dil-soz ghazal
DhunDta hai dil-e-shorida bahane kab se
pur karo jam ki shayad ho isi lahza rawan
rok rakkha hai jo ek tir qaza ne kab se
'faiz' phir kab kisi maqtal mein karenge aabaad
lab pe viran hain shahidon ke fasane kab se
Ghazal
Hasrat-e-did mein guzaran hain zamane kab se
Faiz Ahmad Faiz