اردو हिंदी
Hasr-afrin hai kucha-e-jaanana aaj-kal | Shaahi Shayari
hasr-afrin hai kucha-e-jaanana aaj-kal

Ghazal

Hasr-afrin hai kucha-e-jaanana aaj-kal

Syed Mazhar Gilani

;

hasr-afrin hai kucha-e-jaanana aaj-kal
bahki hui hai KHu-e-muhibbana aaj-kal

phir bik rahi hai jins-e-wafa kauDiyon ke mol
phir har wafa-shiar hai begana aaj-kal

phir uTh rahi hain dasht-o-bayaban ki raunaqen
phir har junun-frosh hai farzana aaj-kal

phir shola-kar hain chamanistan-e-lala-zar
phir bijliyan hain raunaq-e-kashana aaj-kal

phir har junun-sarisht KHirad se hai bahra-war
phir kho gaya taqaddus-e-virana aaj-kal

har dil mein jalwa-rez hai phir jazba-e-KHudi
anqa hai etibar-e-mulukana aaj-kal

phir miT gae dilon se junun-kar walwale
phir be-nawa hain salma-o-rehana aaj-kal

phir satgin unDel ke saqi ne rakh diye
uThti hai har nigah harisana aaj-kal

afsana ban gai wo raqabat wo chashmaken
dast-e-karam hai dast-e-harisana aaj-kal

'mazhar' hadis-e-dard hai apni har ek baat
har ashk-e-gham hai ghairat-e-durdana aaj-kal