hasinon ke tabassum ka taqaza aur hi kuchh hai
magar kaliyon ke khilne ka natija aur hi kuchh hai
nigahen mushtaba hain meri pakiza nigahon par
mere masum dil par un ko dhoka aur hi kuchh hai
hasinon se mohabbat hai unhin par jaan deta hun
mera shewa hai ye lekin zamana aur hi kuchh hai
bhala kya hosh aaega bujhegi kya lagi dil ki
ye aanchal se hawa dene ka mansha aur hi kuchh hai
zaban o aql o dil tarif se jis ki hain begane
use sajda jo karta hai wo banda aur hi kuchh hai
tujhe har shai mein dekha 'sehr' ne har shai mein pahchana
magar phir bhi hai ek parda wo parda aur hi kuchh hai

Ghazal
Hasinon ke tabassum ka taqaza aur hi kuchh hai
Sehr Ishqabadi