اردو हिंदी
Hasinon ke gale se lagti hai zanjir sone ki | Shaahi Shayari
hasinon ke gale se lagti hai zanjir sone ki

Ghazal

Hasinon ke gale se lagti hai zanjir sone ki

Akbar Allahabadi

;

hasinon ke gale se lagti hai zanjir sone ki
nazar aati hai kya chamki hui taqdir sone ki

na dil aata hai qabu mein na nind aati hai aankhon mein
shab-e-furqat mein kyun kar ban paDe tadbir sone ki

yahan bedariyon se KHun-e-dil aankhon mein aata hai
gulabi karti hai aankhon ko wan tasir sone ki

bahut bechain hun nind aa rahi hai raat jati hai
KHuda ke waste jald ab karo tadbir sone ki

ye zarda chiz hai jo har jagah hai bais-e-shaukat
suni hai aalam-e-baala mein bhi tamir sone ki

zarurat kya hai rukne ki mere dil se nikalta rah
hawas mujh ko nahin ai nala-e-shab-gir sone ki

chhapar-khaT yan jo sone ki banai is se kya hasil
karo ai ghafilo kuchh qabr mein tadbir sone ki