hasin yaaden sunahre KHwab pichhe chhoD aae hain
muhajir ki kahani mein hazaron moD aae hain
na khul paya kabhi bab-e-mohabbat kam-nasibon par
fasil-e-shahr-e-jaanan se kai sar phoD aae hain
bashar ki be-sabaati bhi kisi se hal na ho pai
zamin se chand taron tak sabhi sar joD aae hain
mile roTi ke TukDe kuchh magar tum ye bhi socho kab
shikam ki aag mein hum ahd-o-paiman toD aae hain
pila de apne hathon se zara ek jam ai saqi
tere mai-kash dar-o-diwar-o-dirham chhoD aae hain
Ghazal
Hasin yaaden sunahre KHwab pichhe chhoD aae hain
Zakir Khan Zakir